Roman script
Karti rehti intezaar tera Tujhko na sharam aati hai Na haya aati hai Upar se itna hai kathor Tujhko baatein na naram aati hai Na daya aati hai Dil se khelne ka hai shaiq bada Kal raat poori tu bahut lada Main kis'se kahun ke tu pehle jaisa nahi Meri galtiyon to tu dekhe bada Khud galtiyon pe tu poora khada Main kis'se kahun ke tu baat sunta nahi Kab kahaan jaata hai jo batata nahi Woh bhi pata hai main bas kehti nahi Chehra utra hua ab hasaata nahi Kaisi saza hai? Main bas kehti nahi Aakhari baar kab theek se ki thi baat Isko pucho koyi maanta hi nahi Upar se banta anjaan jaise mujhko to yeh Jaanta hi nahi Jhooth se khelne ka hai shauq bada Khud vaadiyon mein tu pahunch gaya Main kis'se kahun tu mere sath chalta nahi Tujhpe zor mera ab chalta kahan Mujhe dar hai kahin tu chhod gaya Main kis'se kahungi tu mujhko hi samajhta nahi Kab kuch kehta nahi kab sab keh jaata hai Yeh bhi pata hai main bas kehti nahi Rishta rootha hua ab manaata nahi Kaisi raza hai? Main bas kehti nahi Tujhe kuch pata tere bina Kaisa beeta mera pal hai? 1 hafte se teri na khabar Bata kahan aajkal hai? Tu mujhko bhej koyi jawaab Mera din bann jayega Tu khudse baat karta nahi Kya mera phone uthayega Oh tujhko khelne ka hai shauq bada Main zakhm dekhun tu karde mana Sab dekh rahe ke tera ghaav chupta nahi Tujhpe zor mera ab chalta kahan Mujhe dar hai kahin tu chhod gaya Main kisse kahungi tu mujhko hi samajhta nahi Ab bata mujhko yeh apni choto se bhi Koyi bacha hai? Tu bas kehta nahi Dil hai toota hua yeh tujhe bhi pata Mujhko bulaale khud sab sehte nahi Kab kahaan jaata hai jo batata nahi Woh bhi pata hai main bas kehti nahi Chehra utra hua ab hasaata nahi Kaisi sazaa hai? Main bas kehti nahi
Song details
- Singer: King
- Film / album: The Gorilla Bounce
- Composer: Section 8
- Lyricist: King
Song video
director: Yash Chhabra
genre: Hip-Hop (Rap)