Roman script

Ho.. Ho..

Ishq mein ratjage

Hai hone ab lage

Kare yeh dil kya

Tu hai mehram mera

Main bas hoon tera

To mushqil kya

Tujhko khud mein utaar lun

Jaise seene mein saansein

Bin tere andar hi andar

Gadhti hain mere phaasein

Ho tu, tu yaara mera dil

Tu yaara meri jaan

Tu har armaan

Haan tu sang hai mere

Main shukr-e-khuda

Main sajde karaan

Tu.. Tu..

Chanda sa mukhda tera

Aise aankhon mein bhara

Jaise hothon pe dhara tera naam

Bin tere na din ugaa

Na to raaton ka pata

Saari duniya mein shaam hi shaam

Tere sang sang chali gayi

Mere hasne ki baatein

Meri aankhon ke neeche

Ab aa gayi kaali raatein

Ho tu, tu yaara mera dil

Tu yaara meri jaan

Tu har armaan

Haan tu sang hai mere

Main shukr-e-khuda

Main sajde karaan

Channa ve teri yaad sataye

Channa ve mujhe chain na aaye

Channa ve tu jo laut ke aaye

To dil mera shukar manaye

Aaja ve meri dhoopon ke saaye

Aaja ve mujhe mein jalaye

Aaja ve mujhe hizar mitaye

Mile to mujhe sab mil jaaye

Explore this song