Roman script

Soch kitna maza aayega

Jab humtum pahadon ke

Shehar mein rahenge

Aur tere mere din bhi kuch

Ghanton mein guzrenge

Soch kitna maza aayega

Jab humtum bas ek hi

Sadak pe chalenge

Hathon mein hath liye

Bas baatein karenge

Baatein kuch anjaani si

Kuchh nakli si kuch deewani si

Ho hum pe yeh sama bhi muskurayega

Soch kitna maza aayega

Ha ha ha ha ha ha

Ha haha maza aayega

Ha ha ha ha ha ha

Ha haha..

Ik aam ka paudha

Jo bachpan mein boya tha

Ik raja ka beta

Jo jungle mein khoya tha

Ik aam ka paudha

Jo bachpan mein boya tha

Ik raja ka beta

Jo jungle mein khoya tha

Woh teri yeh sab baatein

Mujhe acchi lagti hain

Ho jab tu chhoti si aur pyari si

5 saal ki ek bacchi lagti hai

Ho koyi purana kissa

Tere chehre pe hansi layega

Soch kitna maza aayega

Ha ha ha ha ha ha

Ha haha maza aayega

Ha ha ha ha ha ha

Ha haha..

Explore this song