Roman script
Saari saari raat daraye ho jaise hai daayan Saansein na lene de hai aise rasayan Hun baahar se ghayal par andar se kaayal Lagti mahobbat par hai sab yeh science Kuch divya si cheez hai samjhta tha pyaar ko Phir jaana body bas chhodti harmons You're not in love tum chhote bimaar ho Kuch kaam nahi aata hai disprin ya saridon Us'se pyaar karta hun ya uske saath ko Ego hai mera wo kaise praapt ho Suljha raha hun main uljhi is gaanth ko Dil aur dimaag ke aapas ke war ko Yeh kaise chemical chhode dimaag bhi Itni laachari hai aisa na thha kabhi Jis'se main ladta hun uska main bhag bhi Kamjor pad raha hun andar or taaqat nahi Bas pyaar karne ki maine himakat ki Aisa kyun ho gaya meri thi kya galti Na karna galti se aisa mazaak bhi Chemical'on ne kiya zakhmi Hai bas yeh sara chemicals Main tha bas kabse bekhabar Tu sar var mein ghar var mein Har pal bas badd badd mein Darr darr kaanpun tharr tharr Dil thhad thhad jiyun marr marr ke Karvat lun har kshan mein Parvat thha ab kann mein Sar garam hai mann sard hai Andar bhar bhar dard hai Khandar jaise manzar Jaise khanzar kare puncher Hun main banjar karun sangharsh Sune hamdard yun na tang kar Dheele anjar saare panjar Teri sangat meri sampad Par sampark mein nahi hum but Just one word can comfort So aane de ya mujhe jaane de tu Mujhe jeene ke jhoothe bahane de Unn saari yaadon ki arthi ko kaandhe de tu Mujhe thaam le bhale taane de Wo sab anjani si yaadein lautane de Kho gaya thha main kabse khudko paane de Gaane de gaane de gaane de bas mujhko gaane de Gaane de gaane de gaane de Bimaariyon ke daag yeh jaate nahi Sau dard hai phir bhi sau raahtein nahi Hai bas yeh sara chemicals Main tha bas kabse bekhabar Saari saari raat daraye ho jaise hai daayan Saansein na lene de hai aise rasayan Hun baahar se ghayal par andar se kaayal Lagti mahobbat par hai sab yeh science
Song details
- Singer: Dino James
- Singer: Kaprila
- Composer: Bluish Music (Nilesh Patel)
- Lyricist: Dino James
Song video
singer: Dino James, Kaprila
director of photography: Mikhaeil Shah
genre: Hip-Hop (Rap)
music label: Sony Music India