Roman script

Bheegi bheegi ashqon ki

Kahani na bane

Bheegi bheegi ashqon ki

Kahani na bane

Rabba koyi ishq mein

Masstaani na bane

Oh rabba koyi ishq mein

Mastaani na bane

Bann ke maasoom sapno ki galiyon mein

Bhanwre tamaam doobe galiyon mein

Bann ke maasoom sapno ki galiyon mein

Bhanwre tamaam doobe galiyon mein

Chahat ka yeh jazbaat

Badgumaani na bane

Chahat ka yeh jazbaat

Badgumaani na bane

Rabba koyi ishq mein

Masstaani na bane

Oh rabba koyi ishq mein

Mastaani na bane

Yeh maana pyaar koyi

Zanjeer nahi maane

Wo rishta kya jisko

Yeh zameeer nahi maare

Karke daga wo jo apno ko chhod de

Dil kyun na aise jhoothe rishte ko tod ke

Kar ke daga wo jo apno ko chhod de

Dil kyun na aise jhoothe rishte ko tod ke

Jo haq par chal sake na

Wo jawaani na bane

Jo haq par chal sake na

Wo jawaani na bane

Rabba koyi ishq mein

Masstaani na bane

Oh rabba koyi ishq mein

Mastaani na bane

Qismat pe kisi ka bhi

Koyi zor nahi hota

Par izzat se badh ke

Kuch aur nahi hota

Qismat pe kisi ka bhi

Koyi zor nahi hota

Par izzat se badh ke

Kuch aur nahi hota

Ungli yeh jag uthaaye

Wo nadaani na bane

Ungli yeh jag uthaaye

Wo nadaani na bane

Rabba koyi ishq mein

Masstaani na bane

Oh rabba koyi ishq mein

Mastaani na bane

Rabba koyi ishq mein

Masstaani na bane

Oh rabba koyi ishq mein

Mastaani na bane

Rabba koyi ishq mein

Masstaani na bane

Oh rabba koyi ishq mein

Mastaani na bane

Explore this song