Roman script

Utaare tumhe jo kabhi lafzo mein

Zamane mein koyi woh shayar toh ho

Tumhe sirf taareef kaafi nahi

Bataaun jo tum pyaar mujhse karo

Tumhara toh kuch bhi nahi jaayega

Yun pagal banakar chali jaaogi

Mere saath do pal bitao zara

Yeh wada hai na door jaa paaogi

Badan pe sitare lapete huye

Oh jane tamanna kidhar ja rahi ho

Zara paas aao toh chain aa jaaye

Zara paas aao toh chain aa jaaye

Toh chain aa jaaye

Toh chain aa jaaye

Tere jaise majhnu yahaan pe

Firte hai hazaar

Yeh matlab ki hai duniya mein yahaan

Koyi ni karta pyaar

Sabse bacha ke rakhti hu

Main ye dil yeh dil

Hey mein toh nahi kehti

Karo mera intezaar

Emotions ko tere zara control kar

Jesi bhi hai feelings mujhe mat bol par

Kardungi chahe teri yeh shaamein haseen

Umron ke wado se mujhko lagda hai dar

Sharmana chodke tu aake mere side

Saath mere jhoom le bhale tu all night

Raat gayi baat gayi yaad rakhna

Aage teri marzi tu karle decide

Karle decide

Tumhe chahna meri zid ho gaya

Junoon aisa hai jiski hadh hi nahi

Jo chaahoge tum main woh kar jaaunga

Sab hai tumhare liye laazmi

Tumhe bhi pata hai tumhara hoon main

Magar tum labon se na keh paaogi

Tumhari nazar mein dikhunga jo main

Zamaane se kaise chhupa paaogi

Badan pe sitare lapete huye

Oh jaane tammana kidhar jaa rahi ho

Zara paas aao toh chain aa jaaye

Zara paas aao toh chain aa jaaye

Toh chain aa jaaye

Toh chain aa jaaye

Explore this song