Roman script
Khaali khaali khaali khaali hai sab! Socha milegi jab khushiya jab pahchunga main peak pe Bhaaga chala jaa raha hai tu issi bas ummeed pe Dekh hi nahi paa raha saari cheezo ko tu thik se Hain kafi badi mistake yeh sabhi sari tricks hai Sad tha tu jab the khali 10 rupaye jeb mein Aaj laakho mein kama raha hai phir bhi stress tera same hai Naye bade challenges, aur naye bade aim hai Yahi dhoka duniya chalaati hai yahi sara game hai Koyi tere aage nahi, aur koi bhi tere peeche nahi Tu kisi ke upar nahi, aur koyi bhi tere niche nahi Comparison se bhaiya bas badhti hai bechaini Tu phal todhne chala hai, jo beej tune seeche nahi Fokat mein tu pareshaan hai, fokat mein tu bhaage Aage badhna toh zaroori hai, par maze le tu raah ke Sun mazil jaisa kuch bhi nahi bas aate rahenge naake Sab diya tujhe rab ne tu bagal mein jhaake Tujhe kabhi na pata chalega bas tu chala chalega Jab tak ho na jaye raakh Sara din bas race kare jaane kisse chase kare End main yahi kahega f*ck Sahi zindagi ko chhed ke bas lalache ghusedke Phir nikla hain safar pe aaj tu chale sang bhed ke Yeh unjaale hain andhere ke Yeh sab sara hain chhote mirage Hai mirage, hain sara yeh mirage Tujhe kheeche jaye paas Dil ko behlaaye re Pyaas aur badhti teri pyaas Kare paani ki talaash Par mil na paaye re Jo bhi chaaha paa ke shaant hoga To iski kya guarantee hain Aur jo mila woh rahega Hai kya iski koyi warranty Toh ruk aur take a break Aur chhote aakhein khol ke dekh Sapne jo dekhe the tune Woh tu jee raha hain currently jane tu kya paane chala haathon ka sab chod ke Maaze toh le phal ke jo laya hain tu todh ke Yahi tera aaj hai, aur issi mein sara swaad hain Woh bhi tere honge filhaal hain woh kisi aur ke Money can buy everything aur har ek badi cheez Ghar mein mercedes, aur touchwood bank account hain tees Phir bhi pareshan aur bhaage, piche mal ke tu vicks Jo bhi chaha woh mila, bas mila nahi mental peace Pehle khush rehta tha, kahe rab ki sab meher hai Phir instagram mein jaake karta happiness compare hai Ab tooti saari neendein aur toota sara dhairya Ab bole jagg unfair hai.. Yeh raaz ko tu na jaane Tabhi zindagi hai bekabu Tujhe apni aur kheechegi Kuch iss tarah ka hai jaadu Tu dar-badhar hi bhatkega Aur sab pada hai tere baju Jo hai bekhabar, hai woh pareshan Jo samajh gaya bana sadhu Hai mirage, hai sara yeh mirage Tujhe kheeche jaye paas Dil ko behlaaye re Pyaas aur badhti teri pyaas Kare paani ki talaash Par mil na paaye re Khaali khaali khaali khaali khaali hai sab Jaali jaali jaali jaali jaali hai sab Khaali khaali khaali khaali khaali hai sab Jaali jaali jaali jaali jaali hain sab Khaali khaali khaali khaali khaali hai sab Jaali jaali jaali jaali jaali hain sab
Song details
- Singer: Dino James
- Composer: Dino James
- Lyricist: Dino James
Song video
director of photography: Himanshu Agarwal
genre: Hip-Hop(Rap)