Pyar Kee Pyas, Pyar Kee Pyas - प्यार की प्यास, प्यार की प्यास lyrics by Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar

Table of Contents: Lyrics
Pyar Kee Pyas, Pyar Kee Pyas - प्यार की प्यास, प्यार की प्यास
Artist:Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Album:Pyar Ki Pyas
Year:1961
Genre:song
Lyricist:Bharat Vyas
Music Director:Vasant Desai

Lyrics

pyaar ki pyaas, pyaar ki pyaas
kya dharti aur kya aakash, kya dharti aur kya aakash
sabko pyaar ki pyaas
pyaar ki pyaas, pyaar ki pyaas
sarita ko sagar ki pyaas
saagar me laharo ka vaas
sarita ko sagar ki pyaas
saagar me laharo ka vaas
laharen uth-uth jaana chaahe
punam ke chanda ke paas
man se man ko har jivan ko
man se man ko har jivan ko
ek aas vishvas, pyaar ki pyaas
kya dharti aur kya aakash, kya dharti aur kya aakash 
sabko pyaar ki pyaas
pyaar ki pyaas
laakho taaro ki aankhe
raat ko bhar-bhar aati hain
bhor bhaye toh kaliyo par 
shabanam ban jhar jaati hai
paran kaa patjhad pal-pal dhundhe
paran kaa patjhad pal-pal dhundhe
jivan kaa madhumas, pyaar ki pyaas
kya dharti aur kya aakash, kya dharti aur kya aakash  
sabko pyaar ki pyaas
pyaar ki pyaas
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Explore this song