Chal Pade Hum - चल पड़े हम lyrics by Shaan

Table of Contents: Lyrics
Chal Pade Hum - चल पड़े हम
Artist:Shaan
Album:Satrangee Parachute
Year:2011
Genre:song
Lyricist:Rajeev Barnwal
Music Director:Kaushik Dutta

Lyrics

chal pade hum, kya thikana,socha nahi 
manzil pata hai, rasta kahan, socha nahi 
bas chal diye zid hai yeh, aankhon mein sapne bhar liye 
aage hi aage bas chal diye
chal pade hum, kya thikana, socha nahi 
manzil pata hai, rasta kahan, socha nahi 
raste yeh sath chalte, tedhi medhi zindagi ke 
yadein bhi hain purani, aane wale pal khushi ke 
raste yeh sath chalte, tedhi medhi zindagi ke 
yadein bhi hain purani, aane wale pal khushi ke 
sochta hai mann yeh mera, aasman mein udna chahe 
choona chahe chand tare, sapne dekhe kitne sare 
chalte chalte rukna kahan, socha nahi 
bas chal diye zid hai ye, aankhon mein sapne bhar liye 
aage hi aage bas chal diye
zindagi ke is safar mein rang dekho kitne sare 
khushiyan chun lo jitni milti, phir na honge yeh nazare 
zindagi ke is safar mein rang dekho kitne sare 
khushiyan chun lo jitni milti, phir na honge yeh nazare 
ashaon ki dor pakde, mann mein itna zor karle 
muskura ke, khil-khila ke, aandhi toofaan se guzar le 
pankh mil gaey, udna kahan, socha nahi 
behte behte thamna kahan, socha nahi 
bas chal diye zid hai ye, aankhon mein sapne bhar liye 
aage hi aage bas chal diye 
chal pade hum, kya thikana, socha nahi 
manzil pata hai, rasta kahan, socha nahi
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details