Roman script

Shamboo! Shamboo!

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Hum bhaage zimmedariyon se

Aur unhone dekho pura jagat sambhala

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Hum bhaage zimmedariyon se

Aur unhone dekho poora jagat sambhala..

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai..

Hai shankar mere mann mein

Kan kan mein har shan mein

Kankad mein bundo mein

Samundar mein dharti mein

Ambar mein bheetar ke andar mein

Tantar mein mantar mein..

Bhole bhayankar hai

Paapiyon ka sankat hai

Prarambh se pehle

Aur anant tak hai

Bhakton ka kushal mangal hai..

Yeh preet purani

Yugo yugo ka bandhan hai

Meri zuban pe

24 ghante rehta bam bam hai..

Bam bam har har hai azar amar hai

Vishwa ka vish pe ke bhi

Mera bhola rakhta meri poori khabar hai..

Meri koyi dua na jaane deta beasar hai

Bhole ke chelay humien na lagti koi nazar hai

Ajoobe anokhe albele sabhi safal hai..

Meri befikri ki wajah tu

Teri bhakti karke bada hua hoon

Aage badha hoon..

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Hum bhaage zimmedariyon se

Aur unhone dekho poora jagat sambhala..

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai..

Mere liye shiv hi allah

Shiv hi yeshu shiv hi guru nanak

Shiv hi vishnu shiv hi mata pita

Shiv hi shishu shiv hi dene waala

Shiv hi bhikshu..

Sach kaho toh woh soch se pare hai

Paichida par sadharanta se bhare hai

Sab ke sabhi unke ansh se bane hai

Jo samarpan kare wahi tarey hai..

Shiv naam ka nasha karo sare aam

Latt lagi teri bhakti ki bhula saare kaam

Ho rahein hai aap ki kripa se

Lekin bhole baba ho raha hain mera naam..

Bhole ke khayaalo mein mantra mughd

Ganga jatta mein chhand mukut

Poore brahmand ke aap ho malik

Main universe ko kehta shivahood..

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Hum bhaage zimmedariyon se

Aur unhone dekho poora jagat sambhala..

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai bhola bhala

Mere bhole ka bol bala

Mera bhola hai..

Mere liye shiv hi allah

Shiv hi yeshu shiv hi guru nanak

Shiv hi vishnu shiv hi mata pita

Shiv hi shishu shiv hi prem hai

Shiva trishul..

Shamboo! Shamboo!

Shamboo! Shamboo!

Explore this song