Roman script

duniya cool hain aaj maine man liya 

wahi par pahucha jaha se start kiya tha 

kyu jhadu ab main har gaya 

itne dino ka sangharsh barbad gaya 

main aapa kho raha hu 

jagta hu kam jyada so raha hu 

kayarata ki charm seema par 

logo ko chup karata tha

aaj khud main ro raha hu

gumanami ka andhera behtar hai 

likhana nahi fayada kuchh bhi kah kar hai

befijul ki utha li jimmevari maine 

tej kulhari karke uspe gardan mari maine 

har naraj gadi mujh par 

najar lagi mujhe

main niche hu ya sabse upar

khabar nahi mujhe  

dhero bhav ghabrata ke mere muh pe

khinch kar rakhta hu aaj kal kan khud ke 

upar se vishwas uthata ja raha hai

rini hu tumhara bhai ga raha hai

rahu baitha sar pe ketu aane wala hai 

kismat khuli nahi kabhi

laga us par tala hai

baais saalo se fansa hu is zindagi mein

main hi akela berozgar apni gali mein

nashihat dete log sath nahi deta koi 

vada karte dete tod jaise hote hai neta koi 

dhundne mein laga khajana kuber ka 

vakt ki barbadi hosh nahi der ka 

musibat mein nahi main khud ki musibat hu 

khushiya kharidani hai bolo kya kimat du

kya jiwan mera hoga thik mujhe shaq hai 

khud ki khudkhushi hai mera haq

bujhdil nahi jo batein kahi ek soch hai sab 

ek railgadi mein sawar bas alag coach hai 

aaj dukh mein hu agla padav kamyabi

main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi 

jante nahi beshaq se sunate mere mane

na rakho dilchaspi agar koi meri mane 

thane thane mein likha hai mere nam

bura insan karta jo karta bas achhe kaam 

sham hote hi aa jati mujhe yaad teri

kasam se mohabbat nahi hui tere baad 

jo tere sath tha bas naam mitana hai

khud ko bhula hu bas yad dilana hai

asal mein kho jana hi manzil pana hai 

main pura pagal ye duniya pagalkhana hai

aankhe masal li maine 

ki puri taiyari hai 

dur karni hai dikkate jitni bhi sari hai 

sab kuchh karna hai thik 

koshish meri jari hai 

sabse piche khada tha ab meri bari hai 

meri bari hai meri meri bari hai 

sabse piche khada tha ab meri bari hai 

meri bari hai meri meri bari hai 

sabse piche khada tha main ab meri bari hai 

meri bari hai 

badbola hu main mujhe lena dena

kya hoti taal

kalam se wafadari nahi chhodi filhal

dhanyavad tah dil se karta hu shrotagado ka 

jinhone rakhe khurpati mere khyal 

ab lekin mujhko pachhtana nahi hai firse

akela hi achha hu dur bhagu main feel se 

badi muskil se ab jake suni dil ki 

achha laga aaj mujhko aaj khudi se mike 

dhiraj saiyam sanjidagi ki sabki naak mein dam kiya 

aankho mein jhonki dhul aur kaam kam kiya 

ab langhna hai kshmtaao ko

aadato ka karna hai ulaghan 

daridarta ko chhod mehnat se sapna karna hai sampann

damkham kam nahi hai bas jeet ki darkarar hai 

dil aur dimag mere dono bimar hai

mujse milte julto ki darkarar hai

aap ke samaskh kuch mere ye vichar hai

Explore this song