Dil Parinda - कैसी खुदाई तेरी, तूने ही बनायीं रब्बा lyrics by Anita Bhatt, Tochi Raina

Table of Contents: Lyrics
Dil Parinda - कैसी खुदाई तेरी, तूने ही बनायीं रब्बा
Artist:Anita Bhatt, Tochi Raina
Album:Bezubaan Ishq
Year:2015
Genre:song
Lyricist:Jashwant Gangani
Music Director:Rupesh Verma

Lyrics

kaisi khudaayi teri tune hi banayi rabba
kaahe ko banaya tune ishq
bezubaan zubaan ki bhaasha, kaise koi samjhe bata ja
kaahe ko banaya tune ishq
aisa kyun hota hai? dil ye kyun rota hai?
jo nahi tha tera, phir kyun uski aas hai
jo nahi tha tera, phir kyun uski aas hai
koi mann mein hansta, koi mann hi maan hai rota
koi mann mein hi gharonda banaye
kahin chalke khushiyon ke aansun
kahin roye dukh se naina
naina samajh bhi na paaye, baawra
dil parinda, dhoonde aashiyaana
dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana, baawra
aa..aa..naina..
mann mein koi basta, par tujhe na milta
kismaton ka likkha kahan, hai kisi ko dikhta
mann mein koi basta, par tujhe na milta
kismaton ka likkha kahan, hai kisi ko dikhta
ghum ki hai saheli, uljhi ek paheli
ishq pe kisi ka, kahan zor chalta
dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana,
kaisi khudaayi teri, tune hi banayi rabba
kaahe ko banaya tune ishq bezubaan zubaan ki bhaasha,
kaise koi samjhe bata ja kaahe ko banaya tune ishq
dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana,
aisa kyun hota hai? dil ye kyun rota hai?
jo nahi tha tera, phir kyun uski aas hai
dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana, baawra
bezubaan ishq, bezubaan ishq
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details