Roman script
[Talha Anjum] Jung se pehle baat kare pichli jung ki 65 ki ya 71 ki Mere bhai main nahi dene aaya dhamki Main baat kar raha hak ki Yeh baat mere dhang ki Hum dono ko mein Sarhado se bati hui Hum dono ki ek dusre pe hati hui Aur ye sikhata kaun media Sh*t I'm trying to use my music As a medium Ke shaayad log soch ko aazad karein Civilize tareeke se bethe baat kare Majhab nahi insaniyat pe insaaf karein Is gann pale se apne dil dimag saaf kare Aur bhi toh pome hai is duniya mein Woh aise kyu nahi ladti Jaise ladte tum aur main Subah se dekh raha hoon main internet pe war memes Kya tumhe zara sa andaza hai what war means War means yateem ya miskeen War means.. get off the dream Tera fauji ya phir mera bro Maa sabki hoti hai Rishte naate ki koi sarhad Maaye sabki roti hai Lekin rajneeti ke aage Ye baatein choti lage Aur nafrat ki nazar se Sach baat bhi jhooti lage Aur hum chaahe to ye jung Kab ki muka de Lekin hum chaahte hain ki Aman ko ek mauka dein Yeh jung wung chhod bantai Nafrat ki zanjeerein tod mere bhai Badhna aage hai humein Sitaron se aage hai jahaan aur bantai (x2) [Chen-K] Ek hi mitti ka rang ae ki khoon ye Jung mein bhi ek jaisa junoon hai Masle bhi hoobahoo ye kanoon ke Idhar Zainab udhar Asifa ka noor hai Aur jitni bhi kaum dono yeh modern Sagi behan ko ghoorein bhai dabe ye foran Ladaiyon ke baad bhi ghar mein raunak Chhupe galiyon mein baap ke pyaar ke 9 rang Gaur kar bhai ek jaise taur tareeke Phir majority kyun ek doosre pe bhonkti hai Talha tu thik hai media ki monopoly Om Puri ka qaatil Arnab Goswami hai Gussa bimaari hai Gussa thukna hoga mulk ki khatir ye Kyunki jab bhi Pak ya Hind gaali dein Hathyar bike America China ke Phir cheekhein maayein bete ki kabron pe Kaarobar chalein par dikhe khadde sadako pe Nafratein failayein logon mein kamaaye Brigadier wagerah yeh soyein bistaron pe Socho tum maa ke baazuo mein soye ho Do secondo mein faad dein chhat hawa se drone Utho to maa ka baazu pada kahin aur ho Jihaad chhodo maaroge nahi maa ke qaatilon ko Aatankwaadiyo ka mulk bole sunke kahani Sabut nahi maujood kyunki bas Pakistani Fir hudus ki wajah se Africa bhi aatankwaadi Fir Yahudiyo ke liye Germany aatankwaadi Peshawar mein laashe 132 thi ji --- ho ya Pulwama district Ikka ka barah din baad ka na behis Phir gaaliya doon par Zameer bole hargiz nahi Ye jung wung chhod bantai Yeh jung wung chhod bantai Nafrat ki zanjeerein tod mere bhai Badhna aage hai humein Sitaron se aage hai jahaan aur bantai (x2) [Talha Yunus] Jung jung jung jung toh hum roz lade Kyunki bache aaj bhi sadko pe bhookhe marein Sukhe pade shakho se jhade patte Inn baahon mein qatil kab se hamlo ki boli ratke Phir bhi bhatke Divide and rule kyun sazishein badhi batke Soch zara hatke Main muttasir un bacho se Jo sadko pe bina ghar ke nithariye nai darte Roz rozi ke liye koi ek nahi hazaron junge ladte Koi bhi majhab nahi insaniyat se badke Hai farak bahut hai farak bahut Yeh galat bahot Yeh baatein kadak bahot Kyuki ye sirf sadak talk Tere bhi do kaan do hath Do per, do aankhe, ek naak Kyu nahi taarikh yaad Ye sab goron ka khel Yaar ankhe khol yaar Sacchai aur jhooth ek Tarazu mein na tol yaar Ab bol yaar Kya kusoor un masoomon ka Jinke dilon mein Ab khauf bhara jung ka Internet pe lade janta Sab media ka agenda Magar aaj ye log lahrayenge Do mulkon ka jhanda Gehare samandar Kale badal panchi gayab Kashmir ahl-e-nazar Aur main uska saahil To kyu ye padhe likhe jaahil Battein kare nile Dilo mein bhara zehar Aur mawaako pe jaahir
Song details
- Singer: Chen-K
- Singer: Talha Anjum
- Singer: Talhah Yunus
- Lyricist: Chen-K
- Lyricist: Talha Anjum
- Lyricist: Talhah Yunus
Song video
singer: Chen-K, Talha Anjum, Talhah Yunus
director: Faizan Afzal
director of photography: Farhan Zahid
genre: Hip-Hop (Rap)