Roman script

Uttam kheti madhyam baan

Nikrishta chakari bheekh nidaan

Kisaan chakravyu mein abhimanyu

Aakda uplabdh nahi bandhu

Atmahatya report prakashit

Do hazaar sola se gayab

Doordarsha kusur kiska

Majbooran aanadolan ka rasta

Sadakon pe utarna - pad rha

Aakarosh panapti har disha

Badhti laagat tezi se phaslon ki

Private companion ke mehangi

Beej mehngi pesticide

Ekyavan pratibandhit ko ijazat

Testify? bimariyon ki laagat

Karjajaal-e-qayamat

Chhattisgarh se Karanataka ka

Bihar Hariyana MP Maharashtra

Doodh peyaaj tamatar pheke

Phir bhi kyu nahi aati khabre news mein

Main ascharyachakit hoon aar

Jodi tor daak shune kyo naa ashe

Awaaz tumhari kho jaye

Awaam ye behri so jaye

Tobe ekla cholo

Daak shune kyo naa ashe

Awaaz tumhari kho jaye

Awaam ye behri so jaye

Toba ekla cholo re

Bemausam barish olabrishti badh sukha chakrawaat

Nirasha bar bar

Har saal har ghante marte desh mein

Ek se zyaada kisaan

Phaslon ki damo mein bhari anishchitta

Na ittefaq koi munafa

Kaudi ke daamon mein bikti unki har ek utpaad

Kya baat janaab

Gareebi, roti do waqt ki na naseeb, bataoo?

Apne bete betiyon ko kaise school kaise shiksha

Tukdon mein ye zindagi wahi purani poshak

Gaon gaon dalalon dwara pareshaan

Unke marne par bhi na koi jo leta unka naam

Krishi Pradhan desh krishi sankat pe na gaur

Ab ya toh atmathatya yaa phir aandolan ki aur

Jodi tor daak shune kyo naa ashe

Awaaz tumhari kho jaye

Awaam ye behri so jaye

Tobe ekla cholo

Daak shune kyo naa ashe

Awaam tumhari kho jaye

Awaam ye behri so jaye

Tobe ekla cholo re

Explore this song