Roman script

Duaaon mein daraarein pad gayi hai

Koi kaarigar toh mile jo rafu kar sake

(Rafu kar sake)

Koi toh shiqaayatein sune

Ishq mein doob ke

Haareya, haareya, haareya

Haareya, haareya, haareya

Jeet ke sab kuch

Haan main sab kuch haareya.. haaye

Hareya, hareya, hareya

Hareya, hareya, hareya

(Raftaar Rap - Verse 1)

Unh! bin baat ki baat pe

Hum dono ab ladne lage hain (kyun?)

Ek duje bin jo na rehte the

Ab woh jhagadne lage hain (kyun?)

Hum sadne lage hain (kyun?)

Aahein bharne lage hain (kyun?)

Jis baat se dard ho ek duje ko

Wahi sab karne lage hain (kyun?)

Hum dono khush yun rehneke

Door bhi khush nahi saath mein

Tab shuruaat mein haath mei haath

Aur karke baat hi sote thhe

Baat jata ke yaad karaake

Kuch ho jaata toh kar deta

Khushiyan bazaar mein milti toh

Apni kamaai se ghar saara bhar deta main

Jaane kya soch ke

Paani pe laqeer kheenchi

Sab tha saamne par aankh meechi

Chhil gayi saans meri

Hawaaon mein tha kaanch jaise

Barf ko raakh kar gayi aanch kaise

Main befizool zindagi se ladke

Haareya, haareya, haareya

Haareya, haareya, haareya

(Raftaar Rap - Verse 2)

Ab sab kadwa hai

Sab kyun alag hai

Ek duje pe bas rehta kyun shaq hai

Mila jo sabak mujhe rishta nibhane ka

Tujhse maang ke maafi tujhko gale laga loon

Kya itna bhi haq hai

Haareya, haareya, haareya

Aaj beshaq majboor mere halaat hain

Tu jahaan bhi rahe khush rahe

Kyunki meri duaa tere saath hai

Explore this song