Roman script

Kyun aag ka dariya hai

Jo doob ke jaana hai

Kyun thandi lehar nahi

Jo paar lagaa jaaye

Kyun toote raste hain

Kyun sooni galiyan hain

Kyun aisi raah nahi

Jo yaar mila jaaye

Jis qisse mein tu ibbadat hai

Woh bas ek jhoothi baat hai kya

Aye ishq teri...

Aye ishq teri zaat hai kya

Aye ishq teri zaat hai kya

Kya dharam hai tera yaad hai kya

Aye ishq teri zaat hai kya

Yeh duniya bhi kya duniya hai

Jo ishq ki bairi ban baithi...

Yahaan surkh gulabi shaamein bhi

Ghanghor dupehri ban baithi

Jahaan Radha ke sang Krishna huve

Wahaan toote dil yeh riwaz hai kya

Aye ishq teri...

Aye ishq teri zaat hai kya

Aye ishq teri zaat hai kya

Kya dharam hai tera yaad hai kya

Aye ishq teri zaat hai kya

Na jaane duniya ki rasmein

Dil to dil pehchaane

Rab jaisa hai ishq

Toh rab ke bandey kyun na maane

Maasoom si aankhon mein jaane kyun

Dard khauf ke saaye hain

Kyun har aashiq ke daaman mein bas

Khoon ke cheente aaye hain

Maasoom si aankhon mein jaane kyun

Dard khauf ke saaye hain

Kyun har aashiq ke daaman mein bas

Khoon ke cheente aaye hain

Har shaqs Khuda ban baitha hai

Tu keh de teri bisaat hai kya

Aye ishq teri...

Aye ishq teri....

Aye ishq teri zaat hai kya

Aye ishq teri zaat hai kya

Kya dharam hai tera yaad hai kya

Aye ishq teri zaat hai kya

Explore this song