Roman script

phati padi toh yaadan aaye baba ji

sanjivan ki buti bane hai baba ji

kasht nivaran ke tonic hai baba ji

yug yug ke taran hara hai baba ji

charan paduka jo chhule to ban jaaye sanjog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

are raj yog ye bada hai bhaiya babayog

jay jay jay jay baba ji ki

jay jay jay jay baba ji ki

baba ji ki, baba ji ki, baba ji ki jay

kiya karaya upar ka phir kyun mantra pade

rahu ki jab dasha hathe, shani ki dhaiya chadhe

gm pm cm har koi paao pade

darshan jab tak nahi mile rehte hai khade

sar ko jhukate yaha sabhi ho chaahe kitne bade

rupaye dollar barse mota maal chadhe

darshan karne baba ji ke aate lakho log

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

are raj yog ye bada hai bhaiya babyog

aankh uthi jo baba ji pe katl-e-aam ho jaye

ude nind sarkar ki dekho system jam ho jaye

takraye jo dharm karam se sidhe cheet ho jaye

bas ek lalkar mile to kaam tamam ho jaye

sar chad ke dekho bole hai andh vishwas ka rog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

are raj yog ye bada hai bhaiya babayog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

raj yog ye bada hai bhaiya babayog

are raj yog ye bada hai bhaiya babayog

Explore this song