Roman script

Apni taqdeer jo

Apne haathon likhe

Apni hasti bana sake

Raja ya rank ho

Jag uske sang ho

Zyada jo ank paa sake

Niyam ho, niyam ho, niyam ho

Jahaan ka nayaa ye niyam ho

Bedi agyaan ki pighla ke gayan se

Bandi sapne chhuda sake

(Bandi sapne chhuda sake)

Kudrat mein ek sa haq sabko diya

Sab haq apna kamaa sakein

Niyam ho, niyam ho, niyam ho

Jahaan ka nayaa ye niyam ho

Koi hunar jisme ho

Samay uska hi badalta hai

O.. maati nazar aata ho

Pighalkar sona ugalta hai

Kya lena zaat se

Kya lena naam se

Pehchaane sabko unke kaam se

Boye dastoor ne jitne matbhed hain

Unko jad se mita sakein

Raja ya rank ho

Jag uske sang ho

Zyada jo ank paa sakein

Niyam ho, niyam ho, niyam ho

Jahaan ka nayaa ye niyam ho

Niyam ho, niyam ho, niyam ho

Jahaan ka nayaa ye niyam ho

Explore this song