Roman script

Teri aankhon ki gehraai mein

Samaa gaye hain hazaron gham

Jo inme mila hai sukoon mujhe

Kahin nahin hai Khuda kasam

Teri nigaahon ne jaana mujhe

Naseeb mera dikha diya

Har ik manzil se meri mujhko

Bas ik lamhe mein mila diya

Ho maine ishq ki har gali ko

Saja diya tere naam se

Maine khudko bhula diya, bhula diya… (x2)

Hmm…

Saansein na chalein

Tere bina aisa lage jaise ki

Saara jahaan tham gaya

Shaamein na dhalein

Tere bina subah na ho

Aise ki mausam tu hi ban gaya

Teri panaahon ne mujhko to

Inn ehsaason mein duba diya

Teri ibaadaton ne mujhko

Sajdon ke qaabil bana diya

Ho maine ishq ki har gali ko

Sajaa diya tere naam se

Maine khudko bhula diya, bhula diya

Explore this song