Roman script

Saari duniya ki nemat mujhko mil gayi hai

Maine mangi jo mannat mujhko mil gayi hai (x2)

Faasley darmiyaan se fanaa ho gaye

Mere khwabon ki jannat

Mujhko mill gayi hain

Tere bina main adhura lafz hoon

Padh le mujhe main tera ishq hoon (x3)

Sajnaa… aa…

Sajnaa… Sajnaa…

Ho.. kehta hai dil yeh

Tujhpe kar loon sajda re

Lagta hai chehra

Tera jaise Rab ka re

Jism-o-jaan de doon tujhko

Aise apna re

Deta hai jaise koi

Jaan ka sadqa re

Dekho baahon mein aake

Saari duniya bhula ke

Kehta hai lamha pyaar ka…

Tere bina main adhoora lafz hoon

Padh le mujhe main tera ishq hoon (x3)

[sargam]

Ho… ho…

Tu karey agar ishaara

Chhod doon main jahaan ko

Kaash bin kahey tu samjhe

Mere dard ki zubaan ko (x2)

Ho.. chaahat ka tu dariya

Jeene ka tu zariya

Chaahun sada main saath tera

Tere bina main adhura lafz hoon

Padh le mujhe main tera ishq hoon (x4)

Explore this song