Roman script

Ullu-le…

Jaana naa ho jahaan wahin jaata hai

Dil ullu ka pattha hai

Phooti taqdeer kyun aazmaata hai

Dil ullu ka pattha hai (x2)

Be-sar-pair ki hain iski aadatein

Aafat ko jaan ke deta hai daavatein…

Jaise aata hai-chutki-mein jaata hai

Dil 100-100 ka chhutta hai

O.. Jaana na ho jahan wahin jaata hai

Dil ullu ka pattha hai

Ullu-le…

mmm.. confuse hai…

Dosti pe isey aitbaar.. aadha hai

Rang mein dosti ke jo bhang ghol de

Ishq ka bhoot sar pe sawaar aadha hai

Nigal sake na hi ugal sake…

Sangmarmar ka bangla banata hai

Dil Akbar ka pauta hai

O.. jaana naa ho jahaan wahin jaata hai

Dil ullu ka pattha hai

Ullu-le…

Explore this song