Hairat E Nazzaaraa Aakhir Ban Gain Raanaaiyaan Lyrics

Singer: Kundan Lal Saigal
Music: Mihir Kiran Bhattacharya
Lyricist: Hakim Ahmad Shuja Pasha
Star Cast: Kundan Lal Saigal, Nawab,Pahadi Sanyal,Rajkumari
Movie/Album: Kaarwaan-e-Hayaat (1935)

hairat-e-nazzaaraa aakhir ban gai raanaaiyaa
khaak ke zarro me aati hai nazar gulzaariyaa

jab se dekhaa hai tujhe ik dard hai dil me nihaa
ai sabaa le jaa tuhi un tak meri bedaariyaa

marhabaa barq-e-jamaal-e-yaar tujh par be-nisaar
marhabaa josh-e-junun-e-ishq ki rusavaaiyaa

alvidaa  ai  qaafile  waale mujhe  ab  chhod  do
meri qismat me likhi hai dasht ki viraaniyaa