Chaman Ko Yu Mere Sakee Ne Maikana Bana Dala Lyrics

Singer: Jehanara Kajjan
Music: Master Nagar Das Nayak
Director: J J Madan, V Shantaram
film Cast: Nissar, Sajjan, A R Kabuli, Mukhtar Begum
Movie/Album: Indra Sabha (1932)

chaman ko yu mere sakee ne maikana bana dala
kalee ko shisha-e-may gul ko paimana bana dala

girftar balaye ishk toh pehale hee tha lekin
tumhare gesuo ne aur divana bana dala

bhala kuchh bat thee bebat itana tul khincha hai
savale vasl ko jalim ne afsana bana dala

kuda ke ghar me kabja kar liya andher toh dekho
buton ne dil me rehkar dil ko butkana bana dala