Baabaa Man Ki Aankhen Khol Lyrics

Singer: K C Dey
Music: R C Boral
Star Cast: Indu Mukherjee, K C Dey
Movie/Album: Dhoop Chhaon (1935)

baabaa man ki aankhe khol
man ki aankhe khol baabaa

duniyaa kyaa hai ek tamaashaa
chaar dino ki jhuthi aashaa
pal me tolaa pal me maashaa
gyaan taraazu leke haath me tol sake to tol
baabaa man ki

matalab ki sab duniyaadaari
matalab ke sab hai sasaari
jag me teraa ho hitakaari
tan man kaa sab jor lagaakar naam hari kaa bol
baabaa man ki