Roman script
Baharein beetne ko hai Bataao na kab aaoge Mmm.. baharein beetne ko hai Bataao na kab aaoge Ummedein reetne ko hain Bataao na kab aaoge Tere bin dil ye pyaasa hai Kab talak yun tarsaaoge Parindey lautne ko hain Bataao na kab aaoge Abhi jo tum chale aate Hawa sanndal di ho jaati Abhi jo tum chale aate Hawa sanndal di ho jaati Ke dariya rukh badal leta Ghadi makhmal si ho jaati Mujhe bhi chain mil jaata Tabiyat bhi sambhal jaati Nazaare doobne ko hain Bataao na kab aaoge Ummedein reetne ko hain Bataao na kab aaoge Inn aankhon ne teri soorat Kuch iss tarah sambhali hai Inn aankhon ne teri soorat Kuch iss tarah sambhali hai Ke inmein tum agar naa ho Toh darpan khali khali hai Bas tere aane bhar se meri Ye hasrat hi machal jaati Sabhi ab poochhne ko hai Bataao na kab aaoge Ummedein reetne ko hain Bataao na kab aaoge
Song details
- Singer: Mohit Chauhan
- Film / album: Jab Tum Kaho
- Composer: Anuj Garg
- Lyricist: Vijay Akela
language: Hindi