Roman script

Kaali kaali aankhon ka

Kala kala jaadu hai

Aadha aadha tujh bin main

Aadhi aadhi si tu hai (x2)

Kaali kaali aankhon ka

Kaala kaala jaadu hai

Aaj bhi junooni si

Jo ek aarzoo hai

Yun hi tarasne de

Yeh aankhein barasne de

Teri aankhein do aankhein

Kabhi shabnam kabhi khushboo hai

Kaali kaali aankhon ka

Kala kaala jaadu hai

Aadha aadha tujh bin main

Aadhi aadhi si tu hai

Kaali kaali aankhon kaala kaala jadu…

Gehre samandar aur do jazeere

Doobe huey hain kitne zakheere

Dhoondne do…

Ashkon ke moti, seepi se kholo

Palkon se jhaanke to jhaankne do

Jhaankne do…

Qatra qatra girne do

Qatra qatra chun.ne do

Qatra qatra rakhna hai naa

Qatra qatra rakhne do

Teri aankhon ka ye saaya

Andhere mein koi jugnoo hai

Kaali kaali aankhon ka

Kala kaala jaadu hai

Aadha aadha tujh bin main

Aadhi aadhi si tu hai

Jaane kahaan pe utrenge dono

Udte huey yeh shab ke parinde

Do parindey….

Pankhon pe barkha, le ke udey hain

Do boond de do, pyaase pade hain

Haan do boondein..

Lamha lamha lamhe dau

Lamha lamha jeene do

Keh bhi do na aankhon se

Lamha lamha peene do

Teri aaknhein halka saa

Chhalka sa ek aansoo hai

Kaali kaali aankhon ka

Kaala kaala jaadu hai

Aadha aadha tujh bin main

Aadhi aadhi si tu hai…

Explore this song