Roman script

Dwiteeya vishwayuddh ka kaal

Bhukhmari aur Tabahi si thi Janta Behaal

Germany ke takht par betha tha jo hukmaran

Kara raha tha muhaiyya logo ko maut ka saamaan

Baarood ke dher pe sulag rahi thi Qayanat

Jab khaak mein mil jayega sab

toh kiski jeet aur kaisi maat

Dhamake ki goonj mein gum ho rahi kilkariyan

Chal rahi ho mano maut ke jashn ki taiyyariyan

Har ore tabahi ka manzar

Har ore tabahi ka manzar

Garja vinaash ka badal hai

aa…

Har ore tabahi ka manzar

Garja vinaash ka badal hai

Kahin sehma-sehma bachpan hai

Kahin rota maa ka aanchal hai

Jo chale jeetne duniya ko

kya khabar nahi hai ye unko

Jo chale jeetne duniya ko

kya khabar nahi hai ye unko

Jab jang jeet ke aayenge

sab kuch namu paayenge

Kahin sooni sooni basti hai [aaa….]

Kahin sooni sooni basti hai

Kahin ujda ghar ka aangan hai

Kahin sehma-sehma bachpan hai

Kahin rota maa ka aanchal hai

Bhedbhaav jo karte hain

Bhagwan se kyun nahi darte hain

Bhedbhaav jo karte hain

Bhagwan se kyun nahi darte hain

Jo Insaan bankar aaya hai

Rang laal lahu ka paya hai

Kahin qatra qatra zakhmi hai

Kahin qatra qatra zakhmi hai

Kahin zarra zarra ghayal hai

Kahin sehma-sehma bachpan hai

Kahin rota maa ka aanchal hai

Ant jab yahi hona tha

Toh kis baat ka rona tha

Ant jab yahi hona tha

Toh kis baat ka rona tha

Takht kahaan, kahaan taj gaya

Kal bhi na mila aur aaj gaya

Kahin sapna chaknachoor hua

Taqat ka nasha kafoor hua

Jo Bo’oge so kaatoge

Jo Bo’oge so kaatoge

Dastoor ye ab bhi kaayam hai

Kahin sehma-sehma bachpan hai

Kahin rota maa ka aanchal hai

Har ore tabahi ka manzar

Garja vinaash ka badal hai

Kahin sehma-sehma bachpan hai

Kahin rota maa ka aanchal hai

Kahin rota maa ka aanchal hai..

Kahin rota maa ka aanchal hai..

Explore this song