Roman script
Hmmmmmm hmmm aaaa aaaa Ho… Oo… Roshan tumhi se duniya Raunaq tumhi jahaan ki Phoolon me palne wali Raani ho gulsitaan ki.. Salamat raho.. salamat raho.. Roshan tumhi se duniya Raunaq tumhi jahaan ki Phoolon me palne wali Raani ho gulsitaan ki.. Salamat raho.. Salamat raho.. haaye Salamat raho.. Oh.. naazuk ho naaz se bhi Tum pyaar se bhi pyaare Naazuk ho naaz se bhi Tum pyaar se bhi pyaare Tum husn se haseen ho Kya baat hai tumhari Kya baat hai tumhari.. Aankhon me do jahaan hain Maalik ho do jahaan ki Salaamat raho… Salaamat raho haaye Salaamat raho.. Aa… aa… aa… O ho ho… Dil chaahe toot jaaye Mere dil se yunhi khelo Dil chaahe toot jaaye Mere dil se yunhi khelo Jeeti raho yunhi tum Meri bhi umr le lo Meri bhi umr le lo.. Kis din duaa na maangi Humne tumhaari jaan ki Salamat raho.. Salamat raho.. Roshan tumhi se duniya Raunaq tumhi jahaan ki Phoolon me palne waali Raani ho gulsitaan ki.. Salaamat raho.. Salaamat raho.. Salaamat raho.. Salaamat raho..
Song details
- Singer: Mohammed Rafi
- Film / album: Parasmani (1963)
- Composer: Laxmikant-Pyarelal
- Lyricist: Asad Bhopali
Song video
cast: Mahipal, Geetanjali
language: Hindi