Roman script
Jo baat tujh mein hai, Teree tasaweer mein nahin Tasveer mein nahin… Rangon mein tera aks dhalaa Tu naa dhal saki Saanson ki aanch, jism ki khushbu na dhal saki Tujh mein jo loch hai Meri tahareer mein nahin Tahareer mein nahin.. Jo baat tujh mein hai Teri tasveer mein nahin Bejaan husn mein kahaan, raftaar ki adaa Inkaar ki adaa hai, naa iqraar ki adaa Koi lachak bhi zulf-e-girahagir mein nahin Girahagir mein nahin Jo baat tujh mein hai, Teri tasveer mein nahin Duniya mein koi cheez nahin hai teri tarah Phir ek baar saamane aaja kisi tarah Kya aur ek jhalak meri taqdeer mein nahin Taqdeer mein nahin… Jo baat tujh mein hai, Teri tasveer mein nahin..
Song details
- Singer: Mohammed Rafi
- Film / album: Taj Mahal
- Composer: Roshan Lal
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
cast: Pradeep Kumar, Jeevan, Helen, Madhumati, Beena Rai, Mohan Choti, Veena, Murad, Jabeen Jalil
language: Hindi