Roman script
Ab kya misaal doon main tumhare shabaab ki Insaan ban gayi hai kiran mahtaab ki Chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor Aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor Gardan hai ek jhuki hui daali gulaab ki Ab kya misaal doon… Gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe Chhu le kadam to jhuke na phir aasman uthe Sau baar jhilmilaye shama aaftab ki Ab kya misaal doon… Deewar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan Ghar ka mere chirag hai boota sa yeh badan Tasveer ho tumhi jannat ke khwab ki Ab kya misaal doon…
Song details
- Singer: Mohammed Rafi
- Film / album: Aarti (1962)
- Composer: Roshan Lal
- Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Song video
cast: Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar, Shashikala, Rajendra Nath, Vijaya Choudhury, Keshto
language: Hindi