Roman script

ab jungle jungle aur parvat parvat

koi hai jo pukara hai ke andhera hat jaeyga

phir basti basti aur galiyon galiyon

aaya jo sawera aangan aangan bat jaeyga

jisne aake hame jaga ke

kaha tum chaaho to ye ho sakta hai

ummeed ki jisne roshni di hai

suno kaun hai suno naam hai uska

zokkomon zokkomon zokkomon zokkomon

ham jage hain to chalo sab ko jaga de

jo karna tha par kar na sake ab wo karna hai

hame jo karna hai chalo sab ko bata de

ab jo bhi hai sach hai kehne mein hame nahi darna hai

jisne aake hame jaga ke

kaha tum chaho to ye ho sakta hai

ummeed ki jisne roshni di hai

suno kaun hai suno naam hai uska

zokkomon zokkomon zokkomon zokkomon

chahe kahin koi bhi zulm ki baat ho 

to kabhi manenge ham nahi

kam hai agar umr to kya hua 

hausla kam nahi josh to kam nahi

jaan hatheli par hai meri 

hamko ab ye duniya badalna hai

ummeed ki jisne roshni di hai

suno kaun hai suno naam hai uska

zokkomon zokkomon zokkomon zokkomon

zokkomon zokkomon

Explore this song