Roman script

zindagi kya hai kaanta hai ya phul

kaanta samjhna hai bhul

zindagi hai phul

jiwan hai mala sukh dukh ke moti

in motiyo se jiwan me jyoti

jiwan hai mala sukh dukh ke moti

in motiyo se jiwan me jyoti

zindagi kya hai aansu hai ya muskan

aansu nahi nadan zindagi hai muskan

tej badi ye samay ki dhara hai

aasha nirasha iska kinara hai

tej badi ye samay ki dhara hai

aasha nirasha iska kinara hai

zindagi kya hai tufa hai ya patwaar

tufa na samjho yaar

zindagi hai patwaar

zindagi kya hai kata hai ya phul

kata samjhna hai bhul

zindagi hai phul

Explore this song