Roman script

zindagi hai chaar din

chaar din bhi to kuch kam nahi

zindagi hai chaar din

chaar din bhi to kuch kam nahi

chaar din jhum ke jee to le

hoga phir maut ka gham nahi

o zindagi hai chaar din

chaar din bhi to kuch kam nahi

jane wala kal tha kaisa

aane wala kal kya hoga

jo pal hai mila, wo pal jeele

jane agla pal kya hoga

aaj ka din kate mauj se

kal ki baato me kuch dum nahi

o zindagi hai chaar din

chaar din bhi to kuch kam nahi

hungamo me har din gujre

rangarliyo me har raat dhale

yahi saaz baje, yahi raag chhide

yahi dhum mache, yahi daur chale

jo khushi na mili na mili

jo mili wo khushi kam nahi

o zindagi hai chaar din

chaar din bhi to kuch kam nahi

chaar din jhum ke jee to le

hoga phir maut ka gham nahi

o zindagi hai chaar din

chaar din bhi to kuch kam nahi

Explore this song