Roman script

main sarphira musafir, hawao pe chalu

yaaro ka main yaar hu, ha hans ke sab se milu

in khali khali jebo mein irade behisab hain

in chhoti chhoti ankho mein 

bade bade se khwab hain

saja de meri raahe tu, khol de apni baahe tu

aa raha hu main, zindagi aa raha hu main

kar le aa mujhse dosti, zindagi aa raha hu main

dil ki suni hai maine to, dil ki hi main sununga

pagal sa hi jiya hu main, pagal sa hi jeeyunga

mujhe kya jeet haar se, mujhe pyar pyar se, hey

aa raha hu main, zindagi aa raha hu main

kar le aa mujhse dosti, zindagi aa raha hu main

aa raha hu main, zindagi aa raha hu main

kar le aa mujhse dosti, zindagi aa raha hu main

aa raha hu main

ja raha hu main

utha do asmano ko, utha do aur bhi uncha

main apne pankh to kholu, maja to aaye udne ka

mujhme hausla bhara, mujhe tu aazma zara, hey

aa raha hu main, zindagi aa raha hu main

kar le aa mujhse dosti, zindagi aa raha hu main

aa raha hu main, zindagi aa raha hu main

kar le aa mujhse dosti, zindagi aa raha hu main

Explore this song