Roman script

sehra sahil jungle basti bagh wo 

shola shola jalta charaag wo

ho parvat paani aandhi ambar aag wo

shola shola jalta charaag wo

har kaali raat se ladta hai wo dhalta hai aur nikharta hai

wo aage hi aage badhta hai jab tak zinda hai

kahi par tufaan abhi zinda hai

jazbon mein jaan abhi zinda hai

sagar khamoshi mein bhi 

sagar hi rehta hai

leheron se kehta hai wo zinda hai

bheetar tufaan abhi zinda hai

jazbon mein jaan abhi zinda hai

raaton ke saaye mein hai wo chupa

dushman na dekhega kal ki subha

kaha se aaya wo kaha hai jaata

na mujhko pata hai na tujhko pata

haan wo nihattha hi shatru ko karta nirast hai

bhes badalta wo jaise ho vastr

jadd se ukhadega bheetar se marega

uska irada hai brahma ka antar

wo gyaani hai, hai swami wami wahi

tu janta uski kahani nahi

zinda hai zinda rahega wo

jab tak bhi marne ki usne hi thaani nahi

ghairat gussa chahat aur malaal wo

ziddi ziddi ziddi khayal wo

hai jang bhi hai wo hamla bhi aur jaal wo

ziddi ziddi ziddi khayaal wo

sholon ki aankh mei rehta hai

har sacchi baat wo kehta hai

laawa sa ragon mei behta hai jab tak zinda hai

bheetar tufaan abhi zinda hai

jazbon mei jaan abhi zinda hai

sagar khamoshi mein bhi  sagar hi rehta hai

leheron se kehta hai wo zinda hai

bheetar tufaan abhi zinda hai jazbon mei jaan abhi zinda hai

Explore this song