Roman script

mere dil mein teri dhadkano ka dhadakna zaroori hai

meri nazar se tere ashkon ka behna zaroori hai

in dooriyon ke kuch mausamon ka guzarna zaroori hai

mere dil mein teri dhadkano ka dhadakna zaroori hai

zaroori hai zaroori hai mere dil mein teri dhadkano ka

dhadakna zaroori hai main woh nadi hoon

jo tanha si behti hoon main beh kar bhi kahi

thami si rehti hoon

tu bacha le mujhe in gehri andheron se

ya chhupa le kahi apne dil ke saveron mein

teri saanson mein meri khushboo ka

milna zaroori hai

mere ashkon mein teri wafaon

ka ghulna zaroori hai

mere dil mein teri dhadkano ka

dhadakna zaroori hai

zaroori hai.. zaroori hai

mere dil mein teri dhadkano ka

dhadakna zaroori hai

main teri aankhon se har aansoo pi jaaunga

main tere honthon pe hansne ki wajah laaunga

khud ko jala kar raahon ko teri

roshan karunga main

har mod par aur har chhor par

tera saaya banunga main

meri hatheli pe teri lakeeron ka

hona zaroori hai

teri zameen ko mere chaand

ka pehra zaroori hai

mere dil mein teri dhadkano ka

dhadakna zaroori hai

zaroori hai.. zaroori hai

mere dil mein teri dhadkano ka

dhadakna zaroori hai

Explore this song