Roman script

zara gungunaa le chalo, zara muskuraale chalo

ajanbi sa chehra apna banaale chalo

zara gungunaa le chalo haan zara muskuraale chalo

zindagi se ek lamha fursat churaale chalo

zara gungunaa le chalo

arre panva khaike hum bhaiya, ghume ganga ke tire

paniya bharne aaye wo, mann baaje re manjire

anjaani aankho mein dube dube gaye hum

jaadu hai ya nasha koyi, ya bolo ki koi hai bharam

kitni sharaarate, karoge kitna udham

anjaana desh hai karlo jaraa si sharam

zara gungunaa le chalo, zara muskuraale chalo

chalo na, aawaara khwaabo se yaade churaale chalo

zara gungunaa le chalo

arre arre arre pal do pal ka hai chhota sa taraana

zindagi ka hai yehi taana baana

yahi lamha yaado mein aana jaana

beeti baato ko jaane do

arre fusala ke le gayi anjaani si lehar

anjaane rango ka dekha hai humne asar

dekho na ye dhanak rango ki sargam

gaati hai sur naye sun lo na sun lo na sanam

zara gungunaa le chalo, zara muskuraale chalo

ajanabi sa chehra apna banaale chalo

zara gungunaa le chalo

Explore this song