Roman script

dekho na, zara dekho na tum ho main hu aur ye tanhaaiya hai

dekho na, zara dekho na kaisi narm si ye parchhaaiya hai

suno zara, suno zara, dhadkano ki sada

suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka

suno zara, suno zara, kehti hai raat kya  

raat hai leke aayi, kitne armaan anjaane

kehti hai sau afsaane, sunta hu main

raat ne li angdaai, anhoni baat hai hoti

bikhre hai jaise moti chunta hu main

tumne ye kya keh diya meri aankho me diye hai jaise jal gaye

tumne ye kya keh diya meri raato ke andhere jaise dhal gaye  

tumse hi toh milke maine jaana hai sapne kya hote hain ho 

tumse hi toh milke maine jaana hai dil kaise khote hain oh  

chaandni se pyaari mujhko in palko ki chhaao

tumne basaaya mere dil me ik sapno ka gaao  

tumne mujhko chaha toh mausam rang chhalkata hai

har panchhi ab gaata hai mere liye  

tumne mujhko chaaha toh jeevan ki saari raahe

khole hain apni baahe mere liye  

dekho na, zara dekho na tum ho main hu aur ye tanhaaiya hai

dekho na, zara dekho na kaisi narm si ye parchhaaiya hai

tum bin din sune the raate suni thi viraani thi chhaayi oh

ab jaise din chamke raate mehki hai tum ho jo hamraahi oh

tum bin jaise main thi adhoori, poori ho gayi hu main

tumko paake jag paaya hai par khud kho gayi hu main  

ham dono ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai  

pehle kya thi ab kya hai, ye zindagi  

ham dono ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai  

paayi kitni saari hai, hamne khushi  

dekho na, zara dekho na tum ho main hu aur ye tanhaaiya hai

dekho na, zara dekho na kaisi narm si ye parchhaaiya hai

suno zara, suno zara, dhadkano ki sada

suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka

suno zara, suno zara, kehti hai raat kya

Explore this song