Roman script

sitam ki aandhiyo se jal rahe hai

mere dil me gham ke daag

bachau haye kaise

bujh raha hai ulfat ka charag

zami aasma jab hai dushman humare

kare kisse shikwa mohabbat ke maare

zami aasma jab hai dushman humare

kare kisse shikwa mohabbat ke maare

bujhi ja rahi hai sama zindagi ki

kabhi na mite aise duniya kisi ki

duniya kisi ki

kahin se bhi humko mile na sahare

kare kisse shikwa mohabbat ke maare

zami aasma jab hai dushman humare

kare kisse shikwa mohabbat ke maare

meri bekashi ka na puchho fasana

jalega mere samne aashiyana

mera aashiyana

mujhe dekhenge honge ye bhi nazare

kare kisse shikwa mohabbat ke maare

zami aasma jab hai dushman humare

kare kisse shikwa mohabbat ke maare

Explore this song