Roman script

yaha sab jhagde roti ke hai

raha pyar na koi yarana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha

ho raha pyar na koi yarana

chahe resmi shal odhle chahe bandhe langoti

jine ke liye chahiye re bhaiya do waqt ki roti

phir kyu chandi sona ikatha karke bhare khajana

do roti hi khani hai koi sona to nahi khana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

amir ka bas jo chale garib ko to jine bhi na de

roti ki to bat chhodo pani bhi pine na de

dhokhe fareb se lute garib ko daulat ka diwana

pani ko piye chhaan chhaan ke khun piye anchhana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

jis majdur ki mehnat se bante hai mahal chobare

wahi bechara sadak kinare apni rat guzare

garib pe daulatmando ne aur kitna julm hai dhana

jiske pasine se bangle bane nahi uska koi thikana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

jinke dil me pap bhara hai inki niyat khoti

sab daulatmand chhin rahe hai dekho garib ki roti

roti ke jhagde se ujde basta hua gharana

beti ma se beta bap se ho jaye begana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

pooja path or dan kare bante hai din dayalu

din ko jitne sardhalu hai rat ko utne chalu

is kamre me bana hai mandir usme hai maykhana

idhar parbhu ko bhog lagaye udhar bhare paymana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha

ho raha pyar na koi yarana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha

ho raha pyar na koi yarana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

Explore this song