Roman script

yahi woh jagah hain, yahi woh fijaaye

yahi par kabhi aap hamse mile the

yahi woh jagah hain, yahi woh fijaaye

yahi par kabhi aap hamse mile the

inhe ham bhala kis tarah bhul jaaye

yahi par kabhi aap hamse mile the

yahi par mera haath me haath lekar

kabhi na bichhadne ka vaada kiya tha

sada ke liye ho gaye ham tumhare

gale se laga kar hame yeh kaha tha

kabhi kam na hongi hamari wafaaye

yahi par kabhi aap hamse mile the

yahi par wafa ka naya rang bhar ke

banaayi thi chaahat ki taswir tumne

yahi ki bahaaro se phulo ko chun kar

sawaari thi ulfat ki takdir tumne

woh din aapko yaad kaise dilaaye

yahi par kabhi aap hamse mile the

yahi woh jagah hain, yahi woh fijaaye

yahi par kabhi aap hamse mile the

Explore this song