Roman script

yehi hai teri duniya to phir tu bhi nahi bhagawan

banaye kaise ye insan 

is duniya ki dagar dagar par chap kapat kaa dera

tu hi bata de kab tak hoga is duniya me savera 

ye tere isan rahege kab tak yun haivan

banaye kaise ye insan 

yehi hai teri duniya to phir tu bhi nahi bhagawan

banaye kaise ye insan 

bha_i bahan ka pyar na samajhe yehi hai duniya teri

teri nazaro hi ke aage lut ga_i izzat meri

tu patthar ki ek murat hai kyaa samajhe araman

banaye kaise ye insan 

yehi hai teri duniya to phir tu bhi nahi bhagawan

banaye kaise ye insan

Explore this song