Roman script

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

dekho jise bhi lage pyaara

ye taara woh taara har taara

ye sab saath me jo hai raat me

toh jagmagaya aasmaan saara

ye sab saath me jo hai raat me

toh jagmagaya aasmaan saara

jagmag taare, do taare, nau taare, sau taare 

jagmag saare, har taara hai sharaara  

tumne dekhi hai dhanak toh, bolo rang kitne hai

saat rang kehne ko, phir bhi sang kitne hai

samjho sabse pehale toh, rang hote akele toh

indradhanush banta hi nahi

ek na ham ho paaye toh, anyay se ladne ko

hogi koyi janta hi nahi

phir na kehna nirbal hai kyun haara aara taara 

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

dekho jise bhi lage pyaara

ye sab saath me jo hai raat me

toh jagmagaya aasmaan saara

jagmag taare, do taare, nau taare, sau taare 

jagmag saare, har taara hai sharaara  

boond boond milne se, banta ek dariya hai

boond boond saagar hai, warna ye sagar kya hai

samjho is paheli ko, boond ho akeli toh

ek boond jaise kuchh bhi nahi

ham auron ko chhod e toh, muh sabse hi mude toh

tanha rehna jaaye dekho ham kahi

kyun na bane milke ham dhaara aara taara  

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

dekho jise bhi lage pyaara

ye taara woh taara har taara

ye sab saath me jo hai raat me

toh jagmagaaya aasmaan saara  

jagmag taare, do taare, nau taare, sau taare 

jagmag saare, har taara hai sharaara  

jo kisaan hal sambhale, dharti sona hi ugaye

jo gowala gaiya paale, dudh ki nadi bahaaye

jo lohaar loha dhale, har auzaar dhal jaaye

mitti jo kumbhar uthale, mitti pyaala ban jaaye

sab ye roop hai mehnat ke, kuchh karne ki chaahat ke

kisi ka kisi se koi bair nahi

sabke ek hi sapne hain, socho toh sab apne hain

koi bhi kisi se yaha gair nahi

sidhi baat hai samjho yaara aara taara  

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

dekho jisse bhi lage pyaara

ye taara woh taara har taara  

ye sab saath me jo hai raat me

toh jagmagaya aasmaan saara  

jagmag taare, do taare, nau taare, sau taare 

jagmag saare, har taara hai sharaara  

ye taara woh taara har taara  

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

ye taara woh taara har taara

Explore this song