Roman script

hui dil haaye kitni khataye mujhko ye pata na chala 

hui dil haaye kitni khataye mujhko ye pata na chala

kis raha par me nikal padi ye me bhul chuki thi sab kuch 

sare rishte sare naate me chod chuki thi sab kuch 

toote sapne mere jhute sapne mere 

khudko tabha kar rahi thi pata chala 

hui dil haaye kitni khataye mujhko ye pata na chala 

socha naa tha ye dil lagi kya hogi

socha naa tha ye dil lagi kya hogi 

naa thi khabar ki zindagi kya hogi 

bina pankh hm ude chule aasma 

aisi gire ki phir sambhal naa sake  

ye kaisi fizaye pata naa chala 

hui dil haaye kitni khataye mujhko ye pata na chala 

aanjam kaisa ye mujhko mila hai 

aanjam kaisa ye mujhko mila hai

baag aarmano ka khud kuchla hai 

daulat ka kya kare shohrat ka kya kare 

raas naa aai is hasrat ka kya kare 

kab fanna ho gaye hm pata naa chala

hui dil haaye kitni khataye mujhko ye pata na chala

Explore this song