Roman script

yeh ladki hai ya khubsurat bala, jara iske yauwan ki dekho kala 

yeh ladki hai ya khubsurat bala, jara iske yauwan ki dekho kala 

ada me nazar me hai jaadu bhara, kahi phans na jaaye koyi manchala

yeh ladka huwa hai diwaana mera, na karna yakin iska hai dil jala

yeh ladki hai ya khubsurat bala, jara iske yauwan ki dekho kala

uff ye ladki nakhre wali, dil hai iska pyar se khaali

uff ye ladki nakhre wali, dil hai iska pyar se khaali

iske gore mukhde pe gazab lage gusse ki laali

samjho na tum mujhko aisi vaisi, chhuna nahi main hu angaar jaisi

o naadaan hasina ye jid chhod  de, mere paas aa, dil se dil jod de

tu jal jaayega tu pighal jaayega, kabhi bhi na karna tu yeh hausala

ladki hay ye ladki

uff yeh jalwe, uff yeh tewar tir chalaaye dil pe kas ke

uff yeh jalwe, uff yeh tewar tir chalaaye dil pe kas ke

latke jhatke sabse hat ke, chalti hai kya matak matak ke

duniya se hat ke hai andaaz mere, khanka du dil ke sabhi saaz tere

main tujhko tu mujhko zara aazma, akele me chal chal ke nazre mila

na majnu na ranjha na farhad tu, diwaano ke naksh-e-kadam pe chala

ada me nazar me hai jaadu bhara, kahi phans na jaaye koyi manchala

yeh ladka huwa hai diwaana mera, na karna yakin iska hai dil jala

Explore this song