Roman script

shor tha yahan wahan

chup thi bas woh ek nigaah

thartharate hothon pe phir

aa gayi dil ki baat chupte chupte

thi shama ummido ki

shaam thi tanhaiyo ki

teri aankhon se jal uthi

aaj phir woh shama bujhte bujhte

yeh kya ho gaya, kaise pyar ho gaya 

nazrein mili, deedar ho gaya

tum mil gaye chalte chalte chalte chalte 

zindagi ko mil gayi

tumse phir ek zindagi

khwaab tute na ab kabhi

aankhon mein apni yu palte palte

yeh kya ho gaya, kaise pyar ho gaya 

nazrein mili, deedar ho gaya

tum mil gaye chalte chalte chalte chalte

Explore this song