Roman script

dharati ki sulagati chhati ke bechain sharare puchhate hain

yeh kiska lahu hai kaun mara, yeh kiska lahu hai kaun mara 

ai rahabar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara

yeh kiska lahu hai kaun mara

yeh jalate huye ghar kiske hai, yeh katate huye tan kiske hain

taksim ke andhe tufan me, lutate huye gulshan kiske hain

bad bakt kijaye kiski hain, barabad nasheman kiske hain

kuchh ham bhi sune hamako bhi suna

ai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara

yeh kiska lahu hai kaun mara

kis kam ke hain yeh din dharam, jo sharm kaa daman chak kare

kis tarah ke hain yeh desh bhagat, jo baste gharo ko kak kare

yeh ruhe kaisi ruhe hain, jo dharati ko napak kare

aankhe toh utha najre toh mila

ai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara

yeh kiska lahu hai kaun mara

jis ram ke nam peh kun bahe, us ram ki ijjat kya hogi

jis din ke hatho laj lute, us din ki kimat kya hogi

insan ki iss jillat se pare, shaitan ki jillat kya hogi

yeh ved hata kuran utha

ai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara

yeh kiska lahu hai kaun mara

Explore this song