Roman script

ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
udas main hi nahi bekraar tu bhi hain 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
udas main hi nahi bekraar tu bhi hain 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
udasiyon mein kahi tu na ye samjh lena 
ke tere pyar ko mayus kar raha hun main 
wo aas jo teri aankho mein jagmagayi thi 
ab usko dur se mahsus kar raha hun main 
bataau kaise mujhe teri aarzoo bhi hain 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
sada rahenge na hum par ye duriyon ke sitam 
tarane pyar ke hum gayenge kabhi na kabhi 
sadaye degi hume jab wafaon ki manzil 
ye fasle bhi simat jayenge kabhi na kabhi 
hume to khoyi baharo ki justju bhi hain 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
abhi to humse ye halat ka tagaza hain 
ke dur rahke bhi hum pyar ko nibhate rahe 
shikand na aaye kabhi jindagi ke maathe par 
jidhar bhi chot lage aur muskurate rahe 
kisi ne apni mohabbat ki aabru bhi hain 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
udas main hi nahi bekraar tu bhi hain 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa 
ye kah rahi hain tujhe chhuke aane wali hawa

Song details

Song video

Watch on YouTube