Roman script

ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara

ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahi sakta

mitti ki hai jo khushbu, tu kaise bhulaayega

tu chaahe kahin jaaye, tu laut ke aayega

nayi-nayi raaho me, dabi-dabi aaho me

khoye-khoye dil se tere koyi ye kahega

ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara

ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahi sakta

tujhse zindagi hai ye keh rahi

sab toh paa liya, ab hai kya kami

yun toh saare sukh hai barse

par door tu hai apne ghar se

aa laut chal tu ab diwaane

jahaan koyi toh tujhe apna maane

awaaz de tujhe bulaane, wahi des

ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara

ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahi sakta

ye pal hai wahi, jis mein hai chhupi

puri ek sadi, saari zindagi

tu na poochh raaste mein kaahe

aaye hain is tarha do raahe

tu hi toh hai raah jo sujhaaye

tu hi toh hai ab jo ye bataaye

chaahe toh kis disha mein jaaye, wahi des

ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara

ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahi sakta

Explore this song