Roman script

ye janmbhumi janm devi, maa se bhi mahan hain 

ye janmbhumi janm devi, maa se bhi mahan hain 

isi me meri aan hain, isi me teri shan hain 

ye janmbhumi janm devi, maa se bhi mahan hain 

bojh uthati bas nau mahine 

janm daayini maa tera 

dharti maa to akhiri dam tak 

bojha dhoti hain tera 

maa ka karj to chuk jata hain 

chita me aag lagakar bhi 

dharti maa ka karj chukega 

apni aahuti dekar hi 

ki sainiko ki zindagi to, tyag hain balidan hain 

ye janmbhumi janm devi, maa se bhi mahan hain 

utho ki waqt aa gaya, dilo me aag phunk do 

jamii me aag phunk do, gagan me aag phunk do 

jo sar utha ke jina hain, to sar katao dosto 

lahu ki bund bund me, vatan ki aag phunk do 

maro to maut wo maro, ki yaad jo kare sabhi 

jo auro ke liye mare, wahi to hoti zindagi 

kabhi nahi wo mitate hain, jo desh par fana huye 

jo desh par fana huye 

jo maa ke kaam aa gaya, amar wo javan hain

ye janmbhumi janm devi, maa se bhi mahan hain 

isi me meri aan hain, isi me teri shan hain 

ye janmbhumi janm devi, maa se bhi mahan hain

Explore this song